Header AD

Jis Dil Pe Naaz tha Mujhe wo Dil Naheen Raha - A Ghazal by Mirza Ghalib



1. arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil naheen raha
jis dil pe naaz tha mujhe wo dil naheen raha

[ niyaaz = desire/an offering ]

2. jaata hoon daagh-e-hasarat-e-hastee liye hue
hoon shamma'a_kushta darKHur-e-mehfil naheen raha

[ hastee = life/existence, shamma'a_kushta = extinguished lamp, darkhur = worthy ]

3. marne ki 'ei dil aur hee tadabeer kar ki main
shaayaan-e-dast-o-baazu-e-qaatil naheen rahaa

[ tadabeer = solution/remedy, shaayaan = worthy, dast = hand, baazoo = shoulder ]

4. bararoo-e-shash jihat dar-e-aaina_baaz hai
yaan imtiaz-e-naakis-o-qaamil naheen rahaa

[ bararoo = in front, shash = six, jihat = direction, imtiaz = distinction, naakis = cuing, qaamil = intelligent ]

5. waa kar diye hain shauq ne band-e-naqaab-e-husn
ghair_az nigaah ab koee haayal naheen raha

[ waa = open, ghair_az = other than, haayal = obstacle ]

6. go main raha, rahee na sitam haaye rozgaar
lekin tere KHayaal se ghaafil naheen raha

[ sitam = oppression, ghaafil = unaware/careless ]

7. dil se hawa-e-kisht-e-wafa mit gayee ki waan
haasil siwaay hasrat-e-haasil naheen raha

8. bedaad-e-ishq se naheen darta magar 'Asad'
jis dil pe naaz tha mujhe wo dil naheen raha

[ bedaad = injustice ]
Jis Dil Pe Naaz tha Mujhe wo Dil Naheen Raha - A Ghazal by Mirza Ghalib Jis Dil Pe Naaz tha Mujhe wo Dil Naheen Raha - A Ghazal by Mirza Ghalib Reviewed by AkS on 6:24 PM Rating: 5

No comments

Post AD